Sunday, April 7, 2013

How To Create A Backup/Setup Of Installed File In Android Device.


Jaisa ki aap log jaante hain ke ab android set bahut demand me hain aur har koi android phone hi use karna chahta hai. aur jab android mobiles reasonable price par mil bhi rahe hain to fir koi dusre mobiles par apne paise kyun spend kare.

Jaisa maine pehle bhi bataya tha android ke popular hone ki wajah hain usme run karne wali applications aur games jo Google play store par free aur paid dono me available hote hain.

Aur log ek dusre ke kehne par same applications/games install bhi kar lete hain par prob jab hoti hai agar apko apna mobile reset/format karna ho tab sari applications jo apne play store se download ki hain wo sab bhi erase ho jati hain aur aapko fir se unhe download karna padta hai.

lekin aap apni unhi sari applications aur games ko bacha sakte hain aur aap mobile ke reset hone ke baad unhe fir se install kar sakte hain aapko unhe dobara download karne ki zarurat nahi hogi.

iske liye apko apne android mobile me ye software download karna hoga jiska naam hai clean master.

aap ise aise PC se bhi direct mobile me install kar sakte hain jaisa maine is post me bataya ya fir apne mobile me hi Google play store open kijiye aur Clean master ke naam se search kijiye.

Clean master ke mobile me install hone ke baad use open kijiye.


Ab usme niche App Manager ko open karenge to apke mobile me jitni bhi apps installed hongi un sabko wo show karega


In Apps me se jinka bhi aap backup/setup lena chahte hain unke samne check box me mark kijiye aur niche backup button ko touch kijiye.

In sabhi files ka backup aap pc me bhi copy kar sakte hain. aur jab chahein mobile me install kar sakte hain. ye sabhi .apk files hongi jo android me hi kaam karti hain.
aur in files ko aap friends ke sath share bhi kar sakte hain.

Take care friends.

1 comments:

mujhe mustpha game chahiye apne fon ke liye

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More